nazar mili thi kisi be-khabar se pahle bhi sada-e-tishna uthi thi jigar se pahle bhi ye sehr kam hai ki shadab ho gaya sahra bahe the ashk bahut chashm-e-tar se pahle bhi naya nahin hai taqaza-e-shisha-o-tesha guzar chuka hun main is dard-e-sar se pahle bhi main khak chhanne wala sawad-e-sahra ka pade the panw mein chhaale safar se pahle bhi hisar-e-lafz-o-bayan mein na rah saka 'nami' ki aashna tha maqam-e-hunar se pahle bhi