shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe be-mange jo mile wahi kafi hai han mujhe ai shokhi-e-nigah zara ehtiyat rakh is bazm mein hai pas-e-hadis-e-butan mujhe yarab mere gunah kya aur ehtisab kya kuchh di nahin hai khizr si umr-e-rawan mujhe chunta tha rah-e-zist ke kharon ko main hanuz hai sab abas ajal ne kaha na-gahan mujhe lagta hai ek hujum mein gum hai mera wajud dasti hain phir bhi kis liye tanhaiyan mujhe un ke liye hain atlas-o-kamkhwab ke sarir tan dhankne ko kafi hain kuchh dhajjiyan mujhe kya kya sitam zamane ke main sah gaya 'anis' marne ke baad yaad karoge miyan mujhe