thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain wo khwab hum ko hamesha jagate rahte hain umiden jagti rahti hain soti rahti hain dariche shama jalate bujhate rahte hain na jaane kis ka hamein intizar rahta hai ki baam-o-dar ko hamesha sajate rahte hain kisi ko dhundte hain hum kisi ke paikar mein kisi ka chehra kisi se milate rahte hain wo naqsh-e-khwab mukammal kabhi nahin hota tamam umr jise hum banate rahte hain usi ka aks har ek rang mein jhalakta hai wo ek dard jise sab chhupate rahte hain hamein khabar hai kabhi laut kar na aaenge gae dinon ko magar hum bulate rahte hain ye khel sirf tumhin khelte nahin 'alam' sabhi khala mein lakiren banate rahte hain