panw jab ho gae patthar to sada di us ne faisla karne mein khud der laga di us ne ab jo aaankhon mein dhuan hai to shikayat kaisi yar khud hi to charaghon ko hawa di us ne ye alag baat ki wo mera kharidar nahin aa ke bazar ki raunaq to badha di us ne koi shikwa na shikayat na wazahat koi mez se bas meri taswir hata di us ne raat zanjir ki aawaz jo kuchh tez hui subh diwar pe diwar utha di us ne sirf ek rah alag thi wo mere ishq ki rah aur wo rah bhi duniya se mila di us ne mere ham-rah zara der ko chal kar 'tariq' aur kuchh waqt ki raftar badha di us ne