qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parwar hua khatt-e-jam-e-mai sarasar rishta-e-gauhar hua e'tibar-e-ishq ki khana-kharabi dekhna ghair ne ki aah lekin wo khafa mujh par hua garmi-e-daulat hui aatish-zan-e-nam-e-niko khana-e-khatim mein yaqut-e-nagin akhtar hua nashsha mein gum-karda-rah aaya wo mast-e-fitna-khu aaj rang-rafta daur-e-gardish-e-saghar hua dard se dar-parda di mizhgan-siyahan ne shikast reza reza ustukhan ka post mein nashtar hua zohd gardidan hai gard-e-khana-ha-e-muniman dana-e-tasbih se main mohra-dar-shashdar hua ai ba-zabt-e-haal-e-na-afsurdagan josh-e-junun nashsha-e-mai hai agar yak-parda nazuk-tar hua is chaman mein resha-dari jis ne sar khencha 'asad' tar zaban-e-lutf-e-am-e-saqi-e-kausar hua