wo masiha na bana humne bhi KHwahish nahin ki

wo masiha na bana hum ne bhi khwahish nahin ki
apni sharton pe jiye us se guzarish nahin ki

us ne ek roz kiya hum se achanak wo sawal
dhadkanen tham si gain waqt ne jumbish nahin ki

kis liye bujhne lage awwal-e-shab sare charagh
aandhiyon ne bhi agarche koi sazish nahin ki

ab ke hum ne bhi diya tark-e-talluq ka jawab
hont khamosh rahe aankh ne barish nahin ki

hum to sunte the ki mil jate hain bichhde hue log
tu jo bichhda hai to kya waqt ne gardish nahin ki

us ne zahir na kiya apna pasheman hona
hum bhi anjaan rahe hum ne bhi pursish nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close