nazar se chhup gae dil se juda to hona tha is ehtimam se tum ko khafa to hona tha wafa khud apne muqabil hui mohabbat mein tere sitam ki koi intiha to hona tha kahan pahunch ke ruke aap bewafai se lihaz meri wafa ka zara to hona tha sanwar ke aaina dekha to hans ke farmaya wo samne hain magar samna to hona tha agar idhar se wo guzre hain be-khayali mein qarib-e-dil koi aawaz-e-pa to hona tha wo le gae hain agar bu-e-gul ko sath 'shajia' kam-az-kam aaj chaman mein saba to hona tha