nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe hamesha ishq ke mausam bahut hi khas rahe main tere zikr ki wadi mein sair karta rahun hamesha lab pe tere nam ki mithas rahe ye iztirab junun ko bahut akharta hai ki tum qarib ho tan par koi libas rahe wo ru-ba-ru the to aankhon se daur chal nikle khuli na botalen khali sabhi gilas rahe ye baat raaz ki dadi ne hum ko batlai hamari umr mein abba bhi dewdas rahe main kahkashaon mein khushiyan talashne nikla mere sitare mera chand sab udas rahe main muntazar hun kisi aise wasl ka jis mein mere badan pe tere jism ka libas rahe teri hayat se jud jaun waqia ban kar teri kitab mein mera bhi iktisab rahe