tu jo kahta hai shab-e-wasl mein har bar nahin hum samajhte hain ye iqrar hai inkar nahin kis ke dil mein teri ulfat ka chubha khar nahin kaun hai wo jo tera talib-e-didar nahin kufr-o-din kuchh sabab-e-subha-o-zunnar nahin is se hota koi kafir koi din-dar nahin apna wo haal hai jo qabil-e-izhaar nahin wo zaban apni hai jo laeq-e-guftar nahin kya hai wo ishq ki jis ki na ho shohrat sab mein kya wo aashiq hai jo ruswa sar-e-bazar nahin ishq mein ek but-e-kafir ke hamare tan par kaun si rag hai jo ham-surat-e-zunnar nahin mashghala dast-e-junun ke liye ab kya hoga ek bhi apne gareban mein raha tar nahin bolo aahista shab-e-wasl khuda ko mano koi bad-khwah khada ho pas-e-diwar nahin aisi haalat mein ho kyunkar mujhe ummid-e-visal mere kahne mein wo mashuq-e-tarahdar nahin ab bulana hai hamein us ka abas ai qasid tab uthne ki nahin taqat-e-raftar nahin zist ki baat to hai aur magar zahir mein maraz-e-ishq se bachne ke kuchh aasar nahin haal-e-dil apna bayan kis se karun ai 'sabir' koi monis nahin hamdam nahin gham-khwar nahin