nazara karun kaise teri jalwagari ka parda abhi hail hai meri be-basari ka uslub naya ras nahin chaaragari ka bimar pe aalam hai wahi be-khabari ka chaska use uf pad hi gaya dar-ba-dari ka kya kijiye insan ki is aashufta-sari ka ye rah-e-mohabbat hai ye kanton se bhari hai maqdur nahin sab ko meri ham-safari ka hamdam na uda jama-e-akhlaq ki dhajji diwanon ko hota hai junun jama-dari ka dekha hai ki khulte nahin dil ahl-e-duwal ke bharta nahin munh kasa-e-daryuza-gari ka