zer-e-lab raha nala dard ki dawa ho kar aah ne sukun bakhsha aah-e-na-rasa ho kar kar diya tayyun se zauq-e-ijz ko aazad naqsh-e-sajda ne mere tera naqsh-e-pa ho kar fart-e-gham se behis hun gham hai gham na hone ka dard kar diya paida dard ne dawa ho kar ho chuke hain sil bazu hai na himmat-e-parwaz hum riha na ho pae qaid se riha ho kar hasraten nikalti hain meri jaan jati hai dam labon pe aata hai harf-e-muddaa ho kar gham pe gham mujhe de kar gham se kar diya mahrum kya mila zamane ko sabr-azma ho kar ranj-e-aish hai baqi ab na aish-e-gham 'tabish' kuchh khabar nahin mujh ko rah gaya hun kya ho kar