rahat mili sukun mila aagahi mili wo kya mile ki hum ko nai zindagi mili dil ka bujha charagh achanak bhadak utha ek chashm-e-pur-khulus mein wo shoalagi mili sath un ke zindagi ka safar is tarah kata rahon mein har qadam pe khushi nachti mili jis mein racha hua tha mera rang-e-arzu un ke labon pe git ki wo pankhudi mili shayad meri nigah-e-parastish ka sehr tha murat wo marmarin si mujhe bolti mili ek mah-wash ka nur raha ruh par muhit har raat zindagi ki mujhe chandni mili badnam ishq mein na hue ghair ki tarah izzat-faza hayat hamein ishq ki mili dil-bastagi-e-bazm mein talwe jhulas gae shoalon pe raqs karti hamein zindagi mili ek mehrban nazar ki ada-e-latif se aawargi-e-‘raaz’ ko shaistagi mili