raaz khul jae na saqi kahin maikhane ka zikr achchha nahin paimane se paimane ka kya thikana hai bhala aap ke diwane ka zindagi jis ke liye nam hai mar jaane ka shahr mein tere main phirta hun yun mara mara jaise ek ajnabi bhatka hua virane ka baat to jab hai ki palkon se bhi izhaar na ho dil mein mastur rahe raaz sanam-khane ka jaan de dena bhari bazm mein aasan nahin shama par mitna hi maqdur hai parwane ka ek lamhe mein badal jae gulistan ka nizam hum ulat den jo waraq ishq ke afsane ka 'dard' ke dard ko taskin mayassar ho jae khat jo mil jae kabhi aap ke aa jaane ka