nigah-e-mukhtasar se dastan tak baat ja pahunchi khuda jaane kahan se ab kahan tak baat ja pahunchi nigahon ki zaban ne kah diya jo kuchh na kahna tha dil-e-sozan se jab ashk-e-rawan tak baat ja pahunchi sanwar utthi hai kya zulf-e-zamin ab dast-e-insan se ki mah-o-mushtari-o-asman tak baat ja pahunchi hua to faisla dil ka ishaaron mein kunaen mein kahan wo lutf jab lafz-e-bayan tak baat ja pahunchi bala se saz-e-dil tute sada lekin na paida ho hui ruswa mohabbat jab fughan tak baat ja pahunchi gai shayad jawani aur gaya andaz-e-jurat bhi ki ab andesha-e-sud ziyan tak baat ja pahunchi kabhi gulshan mein apna bhi nasheman tha chaman walo khuda jaane ye kyon barq-e-tapan tak baat ja pahunchi nazar be-bak dil bebak kya parwa 'habib' us ki yahan tak baat ja pahunchi wahan tak baat ja pahunchi