tumhaari yaad ko hum ne palak par yun saja rakkha andheri raat mein har roz aangan mein diya rakkha labon se guftugu hoti to kuchh shikwa na ho pata nazar se jab suna us ko tabassum se gila rakkha gaya pardes beta jab bhi le kar khwab sab apne to phir din-raat man ne apni aankhon ko khula rakkha diwali id mein aksar khilaune bechta hai ab ye wo bachcha hai jis ne apni khwahish ko daba rakkha wahan ek chand si ladki bhi rahti hai ye jaana tab dariche ki haya ko jab dupatte se uda rakkha ye raushan-dan se masum si titli chipakti hai isi aahat ko hum ne apni ghazlon ki sada rakkha ye dahshat-gard sadken hain mujhe kab qatl kar dalen kisi kaghaz ke purze mein main apna bhi pata rakkha kahin dilli ki sadkon par bhala insaf milta hai magarmachchhon ke aansu ko siyasat ne baha rakkha