sho'la-zaron se kabhi aab-e-rawan se guzre hum teri rah mein har sud-o-ziyan se guzre fasl-e-gul se teri ai dost hain mahrum hanuz hum abhi tak hain isi daur-e-khizan se guzre un ke qadmon ke nishan dekh le tu bhi aa kar tere diwane abhi bazm-e-jahan se guzre haal kuchh kahne ko pahunche the hum un ke dar par zakhm sine mein liye un ke yahan se guzre ghar jala mal luta khun baha jaan gai hum tere daur mein kab amn-o-aman se guzre hae wo ‘ahd-e-guzishta ke sunahre ayyam yun gae jaise koi tir kaman se guzre maut par meri ‘azizon ko 'zaki' kyon gham hai kaun aisa hai jo ek din na yahan se guzre