phir kaun hai jahan mein but bewafa ke baad mere liye to ek wahi hai khuda ke baad hai jurm aashiqi to khata kar khata ke baad aata hai is mein lutf-e-khata har saza ke baad samjha kiye wo ahl-e-gharaz ka moamla mitna pada mujhe bhi khud apni wafa ke baad aankhen uthi hui hain agar hath gir pade yani ki intizar-e-asar hai dua ke baad aata hai tujh ko aur talawwun-mizaj kya shokhi ke baad sharm to kya hai haya ke baad ab main hun aur kashakash-e-ummid-o-bim hai wo muskura rahe hain meri iltija ke baad ab to dawam-e-haal ki hai aarzu mujhe matlub aur kuchh nahin un ki raza ke baad dar hai ki ye naya koi tarz-e-sitam na ho kyon mail-e-karam hain wo jaur-o-jafa ke baad sanbhle koi to thokaren khana bura nahin ho to talash-e-haq hawas-e-ma-siwa ke baad kyon aastan-e-dost mili phir koi jabin meri jabin-e-dair-o-haram-ashna ke baad 'shakir' jab us ne sun ke kaha ji baja durust hum sar jhuka ke rah gae arz-e-wafa ke baad