nazzara-e-rukh-e-saqi se mujh ko masti hai ye aaftab parasti bhi mai-parasti hai khuda ko bhul gaya mahw-e-khud-parasti hai tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai na gul hain ab na wo saqi na mai-parasti hai chaman mein meinh ke ewaz be-kasi barasti hai ye mulk-e-husn bhi jaanan ajib basti hai ki dil si chiz yahan kaudiyon se sasti hai mah-e-siyam mein go mana-e-mai-parasti hai magar hun mast ki har roz faqa-masti hai ye be-sabaat bahaar-e-riyaz-e-hasti hai kali jo chatki to hasti par apni hansti hai bas ek raat ka mehman charagh-e-hasti hai sirhane roegi ab shama gor hansti hai dila ye gor-e-ghariban bhi zor basti hai bajae abr yahan be-kasi barasti hai gaya jo yan se tah-e-khak wo kabhi na phira zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai naha ke baal nichode to yar kahne laga ghata siyah isi tarah se barasti hai bas ek hath mein do tukde kar diya hum ko hamare yar ki ek ye bhi tez-dasti hai kiya hai chaak gareban subh-e-mahshar tak ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai hamein to qatl kiya bas isi nazakat ne ki wo uthati hain tegh aur nahin ukasti hai dikha ke phul se chehre ko dil liya khush ho jo badle gul ke mile andalib sasti hai ab ek tauba pe aati hai maghfirat tere hath kharid kar ki nihayat ye jins sasti hai dikhae jis ne ye surat hamein dam-e-akhir usi ko dekhne ko ruh ab tarasti hai na tuti shisha-e-mai meri sang-e-marqad se pas az fana bhi mujhe pas-e-mai-parasti hai asir kar ke hamein khush na hoiyo sayyaad ki tu bhi yan to giraftar-e-dam-e-hasti hai ajab nahin dam-e-isa se bhi jo gul ho jate ki sham-e-subh hamara charagh-e-hasti hai wo mangta hai meri jaan ru-numai mein yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai kiya hai us ne to yusuf ka chaak daman-e-pak na puchho ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai kahun main wahi hai saqi wahi subu wahi jam mudam-e-baada-e-wahdat ki mujh ko masti hai alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukae hun main teri gali mein bhi zalim bulandi pasti hai jo chahe rahmat-e-haq ijz kar shiar apna rawan udhar ko hai pani jidhar ko pasti hai safed ho gai mu-e-siyah ghaflat chhod hui hai subh koi dam charagh hasti hai har ek jawan ka qad kham hua hai piri se maal-e-kar bulandi jahan mein pasti hai wo apni jumbish-e-abru dikha ke kahta hai ye wo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai che khush bawad ki bar aayed bek karishma do kar sanam baghal mein hai dil mahw-e-haq-parasti hai hai khub pahle se 'goya' karun main tark-e-sukhan ki ek dam mein ye khamosh sham-e-hasti hai