to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije phir apne aap ko aalam panah likh lije kitab-e-sahra mein zikr aae jab samundar ka meri hayat kisi ki nigah likh lije diyon ke qatl pe suraj ki har kiran chup hai is ehtiyat ko jashn-e-siyah likh lije labon pe amn ke naghme dilon mein jang ki aag shikast-e-azm ba-nam-e-sipah likh lije wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain wo chhut sake to mujhe bhi gawah likh lije main apne ghar ki tabahi sambhaal lunga magar zamane bhar ka mujhe sarbarah likh lije khataen itni hain 'bekal' mujhe nahin malum yahi saza hai mera har gunah likh lije