shahar-e-ghaflat ke makin waise to kab jagte hain

shahar-e-ghaflat ke makin waise to kab jagte hain
ek andesha-e-shabkhun hai ki sab jagte hain

shayad ab khatm hua chahta hai ahd-e-sukut
harf-e-eajaz ki tasir se lab jagte hain

rah-e-gum-karda-e-manzil hain ki manzil ka suragh
kuchh sitare jo sar-e-qarya-e-shab jagte hain

aks in aaankhon se wo mahw hue jo ab tak
khwab ki misl pas-e-chashm-e-talab jagte hain

harf-e-khufta ki tarah chashm-e-taghaful ke bhi
baz auqat to mafhum ajab jagte hain

sahm jate hain munderon pe kabutar 'sayyad'
raste bediyon ki chap se jab jagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close