ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai is fann-e-mohabbat ka nuskha hi nirala hai khatra hai mujhe ab to chup rahne se bhi apne kya hai ki na sozish hai wo aah na nala hai dil hi na khule apna to kijiye kya warna sabza hai gulistan hai gulzar hai lala hai kyunkar na samar lawe shakh-e-mizha lakht-e-dil sau khun-e-jigar se main is tir ko pala hai hai dil mein to wo lekin dikhlai nahin deta bahar to andhera hai aur ghar mein ujala hai tajil na kar ai dil aane to laga hai wo mil jaega bosa bhi kya munh ka niwala hai kaifiyyat-e-mai-khana bas dekh le ab kya hai saqi hai na sahba hai shisha hai na pyala hai ye chaal agar hai to rahne ka nahin ab dil be-tarah se us ne to kuchh panw nikala hai tu hota to kya hota kal nam tera lete gulshan mein 'hasan' ko main girne se sambhaala hai