yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo abhi rah mein kai mod hain koi aaega koi jaega tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hai ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo