sahn ko chamka gai belon ko gila kar gai raat barish ki falak ko aur nila kar gai dhup hai aur zard phulon ke shajar har rah par ek ziya-e-zahr sab sadkon ko pila kar gai kuchh to us ke apne dil ka dard bhi shamil hi tha kuchh nashe ki lahr bhi us ko surila kar gai baith kar main likh gaya hun dard-e-dil ka majra khun ki ek bund kaghaz ko rangila kar gai