nek-o-bad ki jise khabar hi nahin shar hai kam-bakht wo bashar hi nahin wo hain kis haal mein khabar hi nahin sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin hath khali hai mal-o-zar hi nahin kya uden jabki baal-o-par hi nahin mai ki babat khayal kar waiz is mein nafe bhi hain zarar hi nahin sharm se tere ru-e-raushan ke shams bhi zard hai qamar hi nahin jis ke bais hai zindagi be-lutf lutf ye hai use khabar hi nahin rah har dil ko hoti hai dil se mere dil ki unhen khabar hi nahin yar to qatl-e-am kar dale tegh bandhe kahan kamar hi nahin zabt ki nisbat aap ka hai khayal main hun aashiq mere jigar hi nahin mere sine ko chir kar dekho dil bhi rota hai chashm-e-tar hi nahin aasman lakh bar dushman ho kya ho barbaad mere ghar hi nahin kaun kahta hai mujh ko saudai ek muddat se mere sar hi nahin hum qayamat se bhi hue be-fikr shab-e-hijran ki jab sahar hi nahin panw phailae mast hote hain fuqara kyunki mal-o-zar hi nahin wo to mujh ko jalae jaenge baad murdan bhi umr bhar hi nahin baad murdan hai hashr ka khatka meri jaan fikr se mafar hi nahin murgh be-wajh chikhe jata hai ye na bole to jaanwar hi nahin zulm par ab hai aasman nadim sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin tauba tauba hazar-ha sharten kya bataun agar magar hi nahin phirte ho saikdon nadidon mein tum ko khauf-e-nazar guzar hi nahin aadmi aadmi hai izzat se aab jis mein na ho guhar hi nahin kam hai ye zad-e-rah ai 'parwin' tum ko andaza-e-safar hi nahin