wajud-e-ghaib ka irfan tut jata hai sarir-e-khama se wijdan tut jata hai jo ho sake to karo aam la-ubaali-pan khudi ke bojh se insan tut jata hai sunaiye wo latifa har ek jam ke sath ki ek bund se iman tut jata hai sajaane lagta hun jab kuchh hasin yaadon ke phul mere khayal ka gul-dan tut jata hai to lazmi bhi nahin tolna samundar ka agar habab ka mizan tut jata hai hua jahan bhi tere wahshiyon ka daman chaak wahin bahaar ka ehsan tut jata hai ye daur wo hai 'muzaffar' gunah zaid kare bakar ki zat pe bohtan tut jata hai