wabaal-e-jaan har ek baal hai myan talluq dil ka kya janjal hai myan talab mein kaun duniya ki ho pamal ye baitulmal kuchh bhi mal hai myan ye kala-e-jahan ka munh ho kala agar samho to ji ka kal hai myan suna hoga jo kuchh majnun ka ahwal wahi apne bhi hasb-e-haal hai myan tadap kar ru-ba-ru hum us ke mar gae na puchho kya mera ahwal hai myan qadam rakhte tumhaare dil tadap gae ye koi chaal hai bhaunchaal hai myan nahin jata dafali-pan ka sauda ajab sir par mere dhammal hai myan khula kab maulwi se uqda-e-dil bahut ye masala ashkal hai myan agar hai qaul to masum ka hai siwa is ke to qil-o-qal hai myan 'raza' kya mil gae us jang-ju se tumhaara aaj chehra lal hai myan