nichi nazron ke war aane lage lo bas ab jaan-o-dil thikane lage meri nazron ne kya kaha yarab kyun wo sharma ke muskurane lage maslahat tark-e-jaur tha chande phir usi hathkandon pe aane lage jalwa-e-yar ne kiya be-khud hum to aate hi un ke jaane lage sab ka kaba hai manzil-e-maqsud hum to aage qadam badhane lage kya kahin aamad-e-bahaar hui kyun gareban pe hath jaane lage gar haqiqat-nigar ho chashm to wo jalwa har rang mein dikhane lage hum ko rabt-e-guzishta yaad aae wo jo ban-than ke ghar se jaane lage bas yahi ghayat-e-tasawwur hai hijr mein lutf-e-wasl aane lage us sarapa bahaar ke jalwe rang kuchh aur hi na khane lage kyun ki fursat adu se tum ko mili jo tasawwur mein mere aane lage be-ghiza ke to rah nahin sakte na mila kuchh to zahar khane lage baat banti nazar nahin aati ab wo baaten bahut banane lage aaj 'majruh' zabt kar na saka kya kare jab ki jaan jaane lage