tarikh ke safhat mein koi nahin ham-sar mera mahw-e-safar hai aaj tak phenka hua patthar mera har samt sehn-e-zat mein phaile hue sae mere baitha hai takht-e-fikr par simta hua dilbar mera kya khush-nasibi hai meri main ek tanha fauj hun jhut aur sach ki jang mein kaam aa gaya lashkar mera mahaul sab ka ek hai aanhken wahi nazren wahi sab se alag rahen meri sab se juda manzar mera ek rang-e-istighraq hai ek nikhat-e-awargi thahra hua gagar mein hai bahta hua sagar mera duniya karegi ek din auraq-gardani meri yaad aaega ahbab ko ganjina-e-gauhar mera 'kawish' ana ki qaid ke diwar-o-dar girne ko hain ek aalam-e-asghar mein hai ek aalam-e-akbar mera