rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main laun kahan se dhundh ke us dida-war ko main sad hasil-e-tarab hai rifaqat ki ye ghadi wo mujh ko dekhte hain charagh-e-sahar ko main muddat hui hai chaak-e-gareban siye hue karta hun yaad mausam-e-diwana-gar ko main lab par hain zindagi ki duaen bahar-nafas mayus pa raha hun masiha nazar ko main dekha hai tum ne kucha-e-dildar mein use pahchanta hun 'ghaalib'-e-ashufta-sar ko main