pankhuDi lab hain to aariz hain gul-e-tar ki tarah

pankhudi lab hain to aariz hain gul-e-tar ki tarah
mast aankhen hain chhalakte hue saghar ki tarah

chandni sahn-e-chaman mauj-e-hawa kaif-e-bahaar
tu nahin hai to har ek shai hai sitamgar ki tarah

ashk-e-gham ko mere dekhe na hiqarat se koi
qatra qatra hai haqiqat mein samundar ki tarah

kya mitaega koi safha-e-hasti se hamein
hum zamane mein nahin harf-e-mukarrar ki tarah

dekh kar aaj ki tahzib ko mail-ba-zawal
fikr khamosh hai sanjida sukhnawar ki tarah

tira-bakhti hai ye apni ki zamane ka karam
apne hi ghar mein jo hum rahte hain be-ghar ki tarah

kaun batlae kise rah-rawi ke aadab
ab to rahzan bhi nazar aate hain rahbar ki tarah

ho gai wo bhi kisi shokh ki zulfon ki asir
nikhat-e-gul hai pareshan dil-e-muztar ki tarah

sajda-e-shukr-e-khuda hum se ada kya ho 'tarab'
dil to diwana-e-asnam hai aazar ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close