qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin

qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin
aisi mili hai sham-e-gham jis ki koi sahar nahin

hai wo safar jo ishq ko jaanib dost le chale
warna safar ke waste kaun si rahguzar nahin

ahl-e-khirad ko chahiye dil ke nagar mein aa basen
dil sa hasin-o-khush-numa aur koi nagar nahin

tere karam pe hai yaqin garche ye jaanta hun main
nala hai mera na-rasa aah mein kuchh asar nahin

hasrat-e-intizar ki baat na hum se puchhiye
hai ye tawil dastan qissa-e-mukhtasar nahin

lut to gae hain dil magar mil bhi gai hain manzilen
rahguzar-e-hayat mein ishq sa rahbar nahin

apna raha na hosh jab raaz-e-hayat pa liya
nemat-e-be-khudi samajh hosh ka ye samar nahin

ishq mata-e-la-makan ishq mata-e-jawedan
shoala-e-daemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin

'darshan'-e-mast se milen kholega raaz-e-agahi
garche wahan hai jis jagah apni use khabar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close