sath mausam ke hawa ko bhi machal jaana tha dhup ko shams ki bahon mein pighal jaana tha sham se subh talak dil tha teri sarhad mein aise haalat mein to tir ko chal jaana tha aao ab dekho dhuan hote hue chhappar ko ya to chingari ke lagte hi sambhal jaana tha yaad yun bhi nahin rakhne the hamein kuchh rishte baad ek waqt ke matlab hi badal jaana tha us ki jaanib se hi koshish mein kami thi warna ab ke bhi tark-e-talluq use khal jaana tha chaak ke hath khade karne se pahle hi 'suman' teri mitti ko kisi shakl mein dhal jaana tha