zauq-e-nazzara liye hum bhi khabar tak aae shab ke pahlu se uthe aur sahar tak aae bu-e-gul baad-e-saba raqs-e-sharar tak aae rang hona tha hamein khun-e-jigar tak aae abr-e-rahmat hai to shabnam ki tarah se utre rang-e-khushbu ki hawa arz-e-hunar tak aae is se pahle hi baras jata hai ek abr-e-karam panw ki dhul uthe aur mere sar tak aae kyun pareshan hai tu ai mere gum-karda-e-rah rah dushwar hai lekin mere ghar tak aae pesh-khema tha yahi fath-o-zafar ka shayad zer hote hue lashkar jo zabar tak aae