nigah-e-naz ne parde uThae hain kya kya

nigah-e-naz ne parde uthae hain kya kya
hijab ahl-e-mohabbat ko aae hain kya kya

jahan mein thi bas ek afwah tere jalwon ki
charagh-e-dair-o-haram jhilmilae hain kya kya

do-chaar barq-e-tajalli se rahne walon ne
fareb narm-nigahi ke khae hain kya kya

dilon pe karte hue aaj aati jati chot
teri nigah ne pahlu bachae hain kya kya

nisar nargis-e-mai-gun ki aaj paimane
labon tak aae hue thartharae hain kya kya

wo ek zara si jhalak barq-e-kam-nigahi ki
jigar ke zakhm-e-nihan muskurae hain kya kya

charagh-e-tur jale aaina-dar-aina
hijab barq-e-ada ne uthae hain kya kya

ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kya ho magar
nigah-e-shauq mein jalwe samae hain kya kya

kahin charagh kahin gul kahin dil-e-barbaad
khiram-e-naz ne fitne uthae hain kya kya

taghaful aur badha us ghazal-e-rana ka
fusun-e-gham ne bhi jadu jagae hain kya kya

hazar fitna-e-bedar khwab-e-rangin mein
chaman mein ghuncha-e-gul-rang lae hain kya kya

tere khulus-e-nihan ka to aah kya kahna
suluk uchatte bhi dil mein samae hain kya kya

nazar bacha ke tere ishwa-ha-e-pinhan ne
dilon mein dard-e-mohabbat uthae hain kya kya

payam-e-husn payam-e-junun payam-e-fana
teri nigah ne fasane sunae hain kya kya

tamam husn ke jalwe tamam mahrumi
bharam nigah ne apne ganwae hain kya kya

'firaq' rah-e-wafa mein subuk-rawi teri
bade-badon ke qadam dagmagae hain kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close