teri talab mein yahan tak kharab haal hua ki main jahan-e-mohabbat mein ek misal hua mere qarib se aksar wo is tarah guzra nigah bhar ke use dekhna muhaal hua wo log jin ki rifaqat kabhi na ras aai hue jo dur to dil ko bahut malal hua mujhe khabar hai ki wo peshtar na tha aisa meri wafa se jafa ka use khayal hua dukhon se apni tabiat thi kis qadar bojhal baras gain ye ghataen to ji bahaal hua tawil the jo wahi fasle simat se gae mera sharik-e-safar jab tera khayal hua guzarne walon ke qadmon se paemal hua main ek naqsh-e-sar-e-rah-guzar tha 'khawar' guzarne walon ke qadmon se paemal hua