phir un ko arz-e-gham pe hansi aa rahi hai aaj duniya mere sukun ki luti ja rahi hai aaj zabt-e-hawas ki khair ho kyon taba-e-na-murad phir waz-e-ehtiyat se ghabra rahi hai aaj banda-nawaziyon ki khalish taba-e-naz ko phir khidmat-e-niyaz pe uksa rahi hai aaj allah re roab-e-husn ki bazm-e-nashat mein har shai lab-e-khamosh bani ja rahi hai aaj us paikar-e-shabab ki nakhwat-bhari nazar har dawa-e-sabaat ko thukra rahi hai aaj 'sahir' na jaane kya ho ab anjam-e-zabt-e-shauq phir yaad un ki dard ko tadpa rahi hai aaj