puchhte hain wo hamein dard kahan uthta hai ek jagah ho to bata dun ki yahan uthta hai bazm-e-hasti se to uthne ka hai dastur qadim dukh bada hota hai jab koi jawan uthta hai jam ke ban jata hai ek aur falak zer-e-falak hasraton ka jo mere dil se dhuan uthta hai lun kisi ka main sahaara ye gawara bhi nahin baith jata hun wahin dard jahan uthta hai roz kutiya se bahut raat gae teri 'jalal' koi diwana hai jo nala-kunan uthta hai