nigar-khana-e-bazm-e-jahan ki baat karo sharab-o-sabza-o-ab-e-rawan ki baat karo qafas ke daur mein khatm aashiyan ki baat karo yahin guzarti hai ab to yahan ki baat karo zamana sun ke hansi mein udane wala hai kisi se ab na gham-e-bekaran ki baat karo hamein bahaar nahin aati ras ahl-e-chaman hamare samne daur-e-khizan ki baat karo wo bazm-e-naz maqam-e-sukun-e-khatir hai to ab na shorish-e-dard-e-nihan ki baat karo qafas mein yaad-e-bahaar-e-chaman to karte the chaman mein aatish-e-barq-e-tapan ki baat karo dilao yaad na piri mein zoaf-e-piri ko hamare samne azm-e-jawan ki baat karo mera khayal lagata hai chaar chand us ko bayan-e-husn mein husn-e-bayan ki baat karo haram bhi dair bhi hai mai-kada bhi hai 'khushtar' jo ras aae tumhein us makan ki baat karo