suna hai ek jahan is jahan se pahle tha ajab jahan tha agar aasman se pahle tha agarche sajde hain mamnun aastan lekin mazaq-e-sajda mujhe aastan se pahle tha tumhin kaho kabhi tum ne suna tha khush ho kar tumhaara zikr jo mere bayan se pahle tha qubul-e-khatir-e-ushshaq ho ke rah na gaya tera fasana meri dastan se pahle tha na shauq-e-rahzani-e-dil na zauq-e-ghaarat-e-jaan ajab tariq mere karwan se pahle tha bahaar thi na khizan barq thi na tha sayyaad chaman na tha jo mere aashiyan se pahle tha isi jahan ko inkar tha qayamat ka yahi jahan jo ek naujawan se pahle tha kuchh is tarah hai mujhe dard-e-ishq ka ehsas ye jaise mujh ko yunhi jism-o-jaan se pahle tha wo naz ban ke phir aakhir niyaz ho ke raha unhen ghurur jo meri fughan se pahle tha zahe wo bazm ki hota hai roz ye mahsus ki jaise koi talluq yahan se pahle tha hunuz dil mein usi shadd-o-mad se hai 'bismil' wo hausla jo mujhe imtihan se pahle tha