parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai nadida hai shoala to lapak aur hi kuchh hai takraate hue jam bhi dete hain khanak si ladti hain nigahen to khanak aur hi kuchh hai ishrat-gah-e-daulat bhi hai gahwara-e-nikhat mehnat ke pasine ki mahak aur hi kuchh hai han josh jawani bhi hai ek khuld-e-nazara ek tifl ki masum humak aur hi kuchh hai shab ko bhi mahakti to hain ye adh-khili kaliyan jab chum len kirnen to mahak aur hi kuchh hai kamzor to jhukta hi hai qanun ke aage taqat kabhi lachke to lachak aur hi kuchh hai ashkon se bhi ho jata hai aankhon mein charaghan bin-barsi nigahon ki chamak aur hi kuchh hai ro kar bhi thake jism ko nind aati hai lekin bachche ke liye man ki thapak aur hi kuchh hai bazm-e-adab-e-hind ke har gul mein hai khushbu 'mulla' gul-e-urdu ki mahak aur hi kuchh hai