shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hun main

shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hun main
bujha ke shama ko ab dil jala raha hun

khayal-e-yar ko dil mein basa raha hun main
tasawwuraat ki duniya saja raha hun main

gham-e-hayat gham-e-dil ka lutf pane ko
ajal ke hath se daman chhuda raha hun main

ajib haal hai shakhon se phul jhadte hain
bhari bahaar mein aansu baha raha hun main

ye raaz fash na ho jae aansuon se kahin
tumhaare gham ko tumhin se chhupa raha hun main

na lab pe koi shikayat na dil hai fariyaadi
tumhaari bazm se khamosh ja raha hun main

uthao saz milao dilon ke taron ko
nai hayat ke naghme suna raha hun main

visal-o-hijr ka aalam ajib aalam hai
fasana shab ka 'sahar' ko suna hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close