nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha main tishna-lab thi mere samne samundar tha bahut ghurur tha biphre hue samundar ko magar jo dekha mere aansuon se kam-tar tha hamare hisse mein aai hai ret sahil ki kisi ne chhin li wo sip jis mein gauhar tha bahut sukun tha thahre hue samundar ko ki us mein jo bhi tha tufan mere andar tha wo shakhs aaya tha ai 'shama' le ke mausam-e-gul use khabar hi na thi dard mera zewar tha