roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun kisi lahje kisi aahat ko saja kar rakhkhun koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad ye khazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun aandhiyan haar gain jab tu khayal aaya hai phul ko tund hawaon se bacha kar rakhkhun mere aanchal mein sitare hi sitare hain 'ada' ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun