utha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha khuda ka shukr hai tufan ghar ka ghar mein raha na jaane kaun si us mein kashish thi poshida tamam umr wo chehra meri nazar mein raha sitam shiar se hum jite ji ye kyon kah den ki hausla na hamare dil-o-jigar mein raha na rok paunga hargiz main teri ruswai tu ashk ban ke agar meri chashm-e-tar mein raha wo meri tarah bhi khana-kharab kyon rahta bana ke dil ko mere ghar wo apne ghar mein raha fana ke baad bhi ki hai teri qadam-bosi main khak ho ke bhi teri hi rahguzar mein raha gaya jo taj mili ba-kamal darweshi zamana yun bhi mere halqa-e-asar mein raha zarur ho na ho tu tha mujhi mein poshida ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar mein raha gaya jo manzil-e-maqsud tak to diwana ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar mein raha hai 'ehtisham' zamane mein badh ke ek se ek wo kaun hai ki jo yakta kisi hunar mein raha