paltenge rukh apna kab ye mah ye sal aakhir kab tak hamein rahna hai yun gham se nidhaal aakhir kya had se guzarna ye ai mast-e-kamal aakhir har chiz ko duniya mein lazim hai zawal aakhir wo satwat-e-qaisar ho ya hashmat-e-iskandar mil jata hai mitti mein sab jah-o-jalal aakhir main tujh ko batata hun kya ishq mein hota hai arman-o-talab awwal andoh-o-malal aakhir ye ishq jise tu ne ek mashghala samjha hai kar dega tera jina khud tujh pa muhaal aakhir mahrumi-o-nakaami dil-sozi o jaan-kahi hota hai mohabbat ka aksar ye maal aakhir mujh sokhta-saman ke pahlu-e-mohabbat mein aaya hai ghazal ban kar wo zohra-jamal aakhir qismat ko jagane mein ghaflat ko hatane mein ban jaenge ek din hum aap apni misal aakhir zeb-e-waraq-e-dil hai ye qaul 'bahaar' apna takmil-e-riyaz awwal tahsil-e-kamal aakhir