sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain khwab si parchhaiyan bhi jaise insan ho gain dard ki faslen hari rut ko tarasti hi rahin ab ke shayad be-asar aankhon ki jhadiyan ho gain waqt ki reg-e-rawan mein gum hue kitne sarab dil ko is andhe safar par nikle sadiyan ho gain wo nahin to sab ne gahri chup ki chadar odh li shahr ki hansti guzar-gahen bhi viran ho gain chand aankhon mein utar kar kuchh ajab dukh de gaya suni raaten meri tanhai ki pahchan ho gain soch ki rau zehn ke shishe mein dhalte hi 'nasim' kitni taswiren thin jo kaghaz par uryan ho gain