nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar niyam-e-harf kahan hai khayal ki talwar rahin-e-marg-e-tamanna thi kaamrani-e-wasl jhulas gaya hai mujhe qurb-e-shoala-e-rukhsar hawa kuchh aisi chali dasht-e-na-muradi se ujad ke bas na sake phir kabhi dilon ke dayar kadakti dhup mein ab aur kis jagah baithun simat ke ban gaya diwar saya-e-diwar jala gai hai meri aag pairahan mera main kya gila karun tujh se charagh-e-mahfil-e-yar zara rasai-e-manzil-gah-e-murad to dekh chale the shahr-e-wafa se pahunch gae sar-e-dar ye kis ne sard gulistan ka zikr chheda hai nikhar chala hai nigahon mein paikar-e-qad-e-yar ye kis jazira-e-be-rang-o-bu mein baste hain na tairan-e-ajam hain na aahuwan-e-tatar ye kaun guzra hai 'mohsin' kharaba-e-dil se ki ud raha hai har ek samt hasraton ka ghubar