nizam-e-har-do-alam intizam-e-wusat-e-dil hai ye jo kuchh hai wahi sab kuchh hai sab kuchh is mein shamil hai mujhe aata hai har mushkil ko aasani bana lena mujhe mushkil nahin mushkil badi mushkil ye mushkil hai talash-e-manzil-e-maqsud hai ek shaghl-e-bekari bahut kuchh hum ko apni sai-e-la-hasil se hasil hai maqam-e-afiyat milta hai kab bargashta-qismat ko hum aa pahonche to yun samjho bala manzil pe nazil hai bacha le jae tu kashti ko maujon ke thapedon se abhi to dur hi aafiyyat-e-sahil se sahil hai tere pas-mandagan-e-rah bhi hain rahbar-e-alam yahan to jo koi naqis bhi hai kaamil se kaamil hai hujum-e-hasrat-o-arman se ghar khali nahin rahta jahan hum hain wahan har-waqt ek mahfil ki mahfil hai jahan khuddar banta hai wahan khuddar banta hai yahi to haal 'khushtar' hai jahan sail hai sail hai