pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten ab to lagti hain kisi aur nagar ki baaten koi surat na rihai ki bani to jaana hum to diwar se karte rahe dar ki baaten waqt aaya to zabanon ko bhi jumbish na hui log karte the bahut tegh ki sar ki baaten ye hain maghrur parinde unhen darne do abhi baith jaenge agar chhed den ghar ki baaten khak se jod liya hai wo talluq ki hamein ras aati nahin shams-o-qamar ki baaten panw resham ke gadilon se utarte hi nahin aur har-waqt hain kanton pe safar ki baaten aasman dekh ke 'shahin' ye dil chahta hai koi karta rahe parwaz ki par ki baaten