reza-reza hue yun subh ke aasar ki bas aise khwabon pe chalai gai talwar ki bas shama kya bujh sa gaya sara jahan-e-awaz is qadar zor se chillai shab-e-tar ki bas kisi zindan ki zarurat hi nahin pesh aai shahr ka shahr hua aisa giraftar ki bas khud-bakhud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas baghban aisa bika hai sar-e-darbar ki bas log apne hi gharon ko nahin pahchan sake lafz wo likkhe gae bar-sar-e-diwar ki bas hum ne chaha tha ki be-sakhta-pan tum sa ho aise bebak hue shahr ke dildar ki bas jaise maftuh na ho fateh-e-sad-alam ho dil ne yun dal diye ishq mein hathiyar ki bas dida-o-dil ko rahi parda-e-ghaflat ki talash aagahi ne wo kiya hum ko gunahgar ki bas